Indigo vs Tata Air India vs Akasa Air, Aviation Industry me bada fight

Main jab chhoti thi, tab asmaan me plane ko jaate dekhti thi aur sochti thi ki ek din train chor kar flight pe charna hai. Aaj flights roj chadhti hu lekin man me ye aata hai ke yaar train me maja zyada hua karta tha, sukoon zyada tha. Iska morale of the story kya hai? Insaan kabhi bhi uske pas jo hota hai usse khush nahi hota puri tarah.

Kyun main ye keh rahi hu? Kyunki initially jab flights me chadhne ke liye bahut sara paisa lagta tha, 90’s ki baat hai, tab leading player tha AirIndia. Hum suna karte the ki flight me khana milta hai, acchi service milti hai, aur log smoking bhi kiya karte the. Ye bade logo ka travel karne ka tareeka tha.

Open Free Demat Account with Angel One

Lekin uske baad dheere dheere aviation sector me competition badh gaya, naye players jaise Kingfisher, Indigo, Jet Airways ne jagah banai, aur uske baad fare kam ho gaya. Isse flights avail karna middle class ke liye assan hua, yaani premium service sector ko khol diya gaya middle class ke liye. Yaha do sawaal hai

  1. Kyun fare kam karke middle class ko include kiya gaya?
  2. Agar fares kam kiye gaye to kya pehle high fares ka koi logic tha ya phir usko waise hi uncha rakhha gaya tha?

In dono baaton ko samajhna isliye important hai kyunki abhi India ka Aviation sector kuch aise hi situation se guzar raha hai. Jet Airways fail ho gaya, Kingfisher ko Vijay Mallya loot ke chala gaya, Air India ko Tata ne khareed liya, desh me abhi le de ke bacha hai kuch players jaise

  1. Indigo
  2. SpiceJet
  3. Airasia
  4. Vistara
  5. Go Air

In me se Indigo, SpiceJet, AirAsia, Go Air ko low cost kaha jaata hai. Vistara premium segment ka carrier hai. Lekin halaat 90’s ke jaise hi dikh rahe hai. Kyun?

Kyunki

  1. Airlines abhi bhi fares ke upar man maani kar rahe hain jaise 90’s me hua tha.
  2. Flights ke routes ko jaise bhi ho waise change kiya jaa raha hai commercial benefits ke liye, consumers ke baare me koi nahi soch raha hai.
  3. Government ko sirf middle class se tax chahiye, lekin koi kaam nahi karna hai usko, na koi regulation maintain karna hai, isliye airlines traditional single routes yaani direct flights waale route, jo busiest hai, unko single stops, two stops waale routes me transform kar rahe hain. Single stops wale flights ko double, triple prices me bech rahe hain, aise aise time me single stop flights ko rakh rahe hain ki logon ko, senior citizens and kids ke liye bahut zyada pareshani ho. Aur ye sab dekh ke bhi India ka civil aviation ministry chup chaap baitha hua hai, aur sirf hindi films ki tarah dialogue baazi chal rahi hai.

Open Free Demat Account with Angel One

Topic to Indigo vs Air India vs Akassa Air hai. Pura game chal raha hai Low Cost Carriers ke naam pe. Thoda samajh lijiye low cost carrier ka matlab kya hai.

  1. Airlines apne ticket cost me se seats ka cost nikal deta hai.
  2. In flight services me paper cup me bhar ke ratti bhar paani ke sivah kuch nahi milta.
  3. Luggage pe restrictions rehta hain.
  4. Flights ke timings bahut hi odd rehte hain jo deliberately aapko yaad dilta rahega ki aap garib aadmi hai, aapko plane me baith ne ki jagah deke desh aur airline aapke upar bahut bada reham kar raha hai.

Indigo ek aisa low cost carrier hai jispe bahut ilzaam lage hain ki wo alag alag tareeke se passengers ko pareshan karta hai. Ab is list me aur bhi naam hai, Spicejet delays aur irresponsible behaviors ke wajah se famous hai. Go Air naya player hai, seniors se note le raha hai, thode hi din me ye bhi passengers ki ragging karne utar aayega. Vistara ke owner Tata group service me hocche hone ke tareeke se jaane jaate hai. Ab tak unka thik thak service raha hai. AirAsia ka market share kam hai, kuch bhi kehna galat hoga. Matlab baat ghum firkar Indigo pe aati hai. 57% domestic market share hai inka. Inke CEO ne kaha hai ke Tata ke saath Air India ka deal future me competition badha sakta hai. Kya ye travellers ke liye acchi baat hai?

Open Free Demat Account with Angel One

Bilkul, jitna zyada competition utni zyada better facilities milne ke chances hai flyers ko. Lekin ye formula tab tak valid rehta hai jab tak dono players apne beech me price fixing na karle, aur ye bahut time se India ke flight scene me ho raha hai. Saare players ek pre-determined rate pe flight bechte hai aur ek hi trend ke hisaab se price badhate hain. Ye to match fixing ho gaya, fir Civil Aviation ministry kuch karti kyun nahi? Kyun ki Civil Aviation ministry agar kuch karti hai to phir, shareholders naraaz ho jayenge, phir share market pe impact aayega aur election ke time pe chanda maange pe atthanni bhi nahi milegi. Opposition parties ko fund jayega aur election me doosri party aayegi. Wo bhi aake phirse public ka khoon choosne ka kaam karegi. Haa lekin tab tak airlines waise hi dhanda karti rahegi, Billionaire se trillionaire ho jayenge, market pe upar hi jaata rahega aur har din ke kaam waale samaan aur bhi mehenge hote jayenge.

Basically ye hai funda free market economy ke twisted version ka. Jaha par consumer is the king nahi hai, share market is the king. Share market me positive sentiments banake rakhne ke liye companies ko growth dikhana padega, har quarter, pandemic ke wajah se bahut loss ho gaya hai pichle 2 saal. Isliye abhi dabega phirse consumer. Aur low cost carriers ke naam pe Akasa Air, jo rakesh jhunjhunwala ka company hai, usko laya jaa raha hai, jo shayad luggage le jaane wale facilities ko bhi chargeable bana de. Tata ka AirIndia shayad is segment me na aaye, lekin Tata Air India bhi low cost carrier hi hoga aur is price war me thoda benefit middle classes ko bhi milne ke chances hai.

Waise flight me bus jaise khade hone ke liye bahut saara technical difficulties hai, flight operate nahi kar payegi, load distribution sahi nahi hoga to fuel spend zyada hoga aur flight operation profitable nahi hoga. Lekin maan ke chaliye ki agar kahi kisine aisa technology invent kar diya jisse flight me standing jaa sake aap, to phir wo din door nahi jab super low cost carrier ke naam se flight me baith ne ke liye aur phir bathroom use karne ke liye bhi paisa demand kiya jayega.

Free Market economy ya phir koi bhi system ka mazaa ye hai ke rules ko control karne wale insaan hi hote hai, isliye agar kisi ka intent ho ki sirf profit ko dekha jaye aur service and customer satisfaction gaya tel lene, to phir wo system kharab hona certain hai. Yahi kuch humare saare facilities ke saath ho raha hai, paisa double hai, aram half hai, khane ke prices double hai, lekin pesticides and farming me modern techniques ke wajah se kaunsa food item sahi aur kaunsa unhealthy hai ye decide kar pana mushkil hai.

Open Free Demat Account with Angel One

Aur uske upar hai paid marketing gimmicks. Almost har brand aaj kal paid marketing use karke apne aapko best claim karta hai, isliye ye samajhna mushkil hi ki kaun sahi aur kaun galat. Lekin yehi system hai, aur jab tak ye extreme situation create karke khud collapse nahi karti, tab tak isi ko jhel na hai, aise hi 4 baje ke flights me travel karke, 3 ghante ka journey 9 ghante me complete karke, ₹ 30 ka chai Adani airport me ₹ 200 me peeke, beemar hoke vitus ke saath ladai karke, mask pehen ke jeena hai. Magar wo kehte hain na, jab tak saans hai, tab tak aas hai, to saans lete rahiye, aas rakhe rahiye.

Do Share your thoughts via Comments

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Related Post